SAVRES The key for success - Welcome to Tiny Blogger

Breaking

download all pdf books educational and islamic

Tuesday 29 August 2017

SAVRES The key for success

Hy friends,
Hal Alrod 20 sal ki umar main apni company ky top bussinessman ban gaye.
 Un ka relationship acha chal raha tha family happy thi aur wo bhi khush thy matlab sab  kuch acha chal raha tha lakin phir aik din jab wo speech dy kar apny ghar wapis a rahy thy jab un ka accident ho gaya aik sharab piye hue admi ny un ki gari ko 70 km per hour ki speed sy takar mar di jis ki waja sy un ka itna bara accident ho gaya k is ki waja sy un ki tang toot gayi aur un ka haath toot gayaaur bahut si serious injuries ayi thin matlab k 6 minute k liye w0o mmaar gaye thy wahan us road py phir peramedic staff ny a k unhain raviev kiya aur usy Hospital ly kar gayedoctors ny unhain nbataya k un ka brain permanentaly damage ho gaya ha aur wo zindagi bhar chal nahin pain gy ye pata chalny k bad wo bahut ziada shock aur said ho gaye thy laikin because unhon ny apny mental doctor sy aik bat seekhi thi kk hamara koi bhi negative result jisy ham change nahin kar sakty us ko soch k negative feel karna to aik dam theek ha lakin sirf 5 minute k liye us sy ziyada nahi matlab k jab bhi ap k sath bura hoto tuimer laga lo 5  minute k liye ghusa raho sad raho chilao ro lo jo karna ha kar lo lakin 5 minute k bad agy barh jao aur is ka aik positive hal talash karo because as an intelligent insan 5  minute sy ziada us cheez k bary main negative sochna jis ko ham badal nahin sakty ye cheez hamari zindagi par bahut bura asar karti ha na k kuch bhi acha.
 Is liye agy barho positively aur yahi bat us ny achy sy yad rakhi unhon ny  yahi same role apply kia aur fikar karna band kar di aur accept kar lia k han theek ha ab ziada sy bziada do hi kam ho sakty hain

  • ya to jaisy doctor bol rahyu hain k han main sari zindagi nahin chal paon ga jo k agar hua bhi to main wheel chair per chalny wala happiest tareen insan ban k dikhaon ga
  • ya phir doctor ghalt keh rahy hain aur main phir sy theek ho jaon ga aur normal zindagi ki taraf wapis a jaon ga

ye dono cheezain decide karny k bad unhon ny apni tention aur stress ko  aik dam khatam kar diya wo hansi mazaq karny lagy usi condition main ye dekh kar doctors ko laga k wo haqeeqat ko  accept nahin karna chahty aur unhain gehra sadma lag gaya ha par bat tyo kuch aur hi thi is k bad is positive aur hansi khushi rehny ka result ye nikla k wo bahut jaldi theek hony lagy itny jaldi k doctors bhi heran ho gaye aur 3 hafton main wo mukammal theek ho gaye unhon ny doctors ko ghalat sabit kar diya aur chalna start kar diya
ab yeh sab kuch hony k bad sab kuch dobara sy theek hony laga wo apni normal life main wapis a gaye pehly sy ziyada confidence k sath jis k bad us ny apni company main sab sy ziada sales k record tory  bahut sary paisy kamaye apna khud ka bussines set kia shadi kar li apna naya ghar khareed liya aur sab kuch aik dam best hony laga
2007 08
phir again un ki life main ak bara jhatka aya  2007 main economic crash ayaus ka bussiness phir dobara raton rat phir sy dobny laga wo us waqt apni life k sab sy bury waqt main paunch gaye wo bataty hain k ye phase un ki life main sab sy bura phase tha because is bar har din un k sath bura sy bura hota ja raha tha wo har din ghareeb sy ghareeb hotyb ja rahy thy unhain kuch samajh nahin a raha tha us waqt un ki wife ny unhain mashwara diya k apny aik friend k pas ja kar us sy suggestion lain wo friend aik ameer insan thajo apni life main bahut kuch acha kar raha tha us waqt bhi us ny ja kar apny dost  ko sqab kuch bataya k bussiness k halat bury chal rahy hain har din bury sy bura ho raha ha aur wo bahut pareshan ha us  ny  apny dost sy koi bussiness tip mangito us friend ny us sy kaha tumhain abhi bussiness advice ki nahin do cheezon ki zaroorat ha ha
rozana subah sawery uth kar excercise karo
excercize k bad koi bhi aik self improvement per book parho
yeh advice us ko zara bhi achi nahin lagi aur wahan sy chaly gaye per un ko aur kuch samajh nai a raha tha to unhon ny in ko try karny ka socha Even Richord aik mental doctor thy unhon ny bhi kaha tha k "morning ritual hona matlab subah uth kar kuch specific achi cheezon ko roz roz kar k un ki habbit bana lena ye aik single sab sy achi cheez hoti ha life ko succesfull bana leny ki because jo apni subah kojeet leta ha wo sary din ko jeet leta ha aur aik achi morning Ritualshape karti ha hamary brain aur mind ko jis k bases per hamara sara din acha guzarta ha so isi liye phir us ny deciede kia k wo subah uth kar sir excercise aur book reading nahin karain gy bal kwo find out karain gy wo sari cheezain best of the best cheezain jo har succesfull insan apni personality grooming k liye ar apny ap ko agy barhany barhany k liya karta ha aur un sab ka auk ritual bana ker karte hain unhon ny bahut saree research kin aur 6 aisy important common habbits batain jo har successfull insan ny follow ki thi yeh 6 habbits bahut hi impactfull thin in sab ka us ny aik morning ritual bana kar karna start kia jab unhon ny start kia tab wo 15000 dollar udhar main thy un ka ghar un sy chinny wala tha wo aik dam unhealthy and sad thy yeh 6 habbits start karny k 2 mahiny k andar ander unhon ny apni income double kar lia aur apna ghar bacha lia aur aik happy insan ban gaye
wohi insan jis ko doctor ny bola tha  shayed wo kabhi chal bhi nahin paye gaunhon ny merathon race main hissa lia aur ye sab itna jaldi hua k wo khud bhi heran ho gaye is liye unhon ny apni kitab ka nam Miracle Morning rakha
because ye sab un k liye kisi miracle sy kam nahin tha
so ab main ko wohi 6 habbits bataon ga jo ap ko bhi subha sawery aik ritual bana karna chahiye
aurther ny in sab habbits ko yad rakhny k lia aik accronyms form kia ha jis ko kehty hain
                        S      A      V      E     R       S
S
first habbit is SILENCE
silence means meditation or prayer
bhut sy log subah uthty hi duniya bhar ki tention ly lety hai kuch News sun kar kuch facebook per. Lakin succesfull log aisa nai karty hain wo subh uth kar pehly silence mode par jaty hain matlab Yoga ya prayer karty hain ye cheez sara din un k brain aur mind ko relax rakhta haaur brain ki peak value per kam karny main madad deta ha pehly Aurther ko lagta tha k meditation ka success s koi taaluq nahin ha magar succesfull logon per research karny k bad usy pata chala k meditation hi kamyab logon ki kamyabi ka aik tareeqa ha aur un logon k agy barhny main madad deta ha infact aik billioniere RAY DALIO kehty hain k meditation un ki kamyabi ki nomber one key ha . Bus wo hi nahin sary kamyab log apny brain ko peak performance py kam karny klia aur dicipline rakhny k lia meditation ka sahara lety hain
A
a stand for affirmation
Affirmation aur kuch nahin bas aik power full techniqe ha
ye aik positive statement hita ha jo ham apny ap ko bar bar apny dimagh main bar bar dohraty hain jis ko hamara subconcious dimagh sach manny lagta ha aur hamn practically aisy hi hony lagty hain



waiting.....


No comments:

Post a Comment